Beri ka Shehad (Sidr / Beri Honey) – H2 Desi
Raw
بیری کا شہد

Beri ka Shehad (Sidr / Beri Honey)

Beri (sidr) ke phoolon ke mausam mein makhiyan jo shehad banati hain, usay chatte se nikaal kar sirf chhaana jata hai. Na garam kiya jata hai, na cheeni ka sheera milaya jata hai.

  • Rs 1,600 500 g
  • Rs 3,000 1 kg

Ehtiyaat: ek saal se chhote bachon ko shehad na dein.

Cash on delivery · Poore Pakistan mein delivery · Rs 5,000 se upar free delivery

Yeh Khalis Kyun Hai

  • Kacha (raw) shehad, garam nahi kiya
  • Cheeni ya sheere ki milawat nahi
  • Beri ke phoolon ki khas khushbu
  • Gaarha, qudrati rang

Kaise Istemal Karein

  • Neem garam paani ke saath subah
  • Roti, paratha ya dahi ke saath
  • Chai ya qehwe mein cheeni ki jagah
Sambhaal: Dhoop se door, sookha chamach. Kuch shehad sardi mein jam jate hain. Yeh qudrati amal hai, bartan ko neem garam paani mein rakh kar pighla lein.

Aksar Poochay Jane Wale Sawal

Asli shehad kaise pehchanein?

Ghar ke tests (paani, aag, kaghaz) pakka saboot nahi. Bharose wali jagah se lein jo bataye ke shehad kahan aur kis mausam ka hai. Tafseel hamari guide mein hai.

Shehad jam jaye to kharab hai?

Nahi. Jamna qudrati amal hai, khas taur par sardi mein. Is se shehad kharab nahi hota.

Bachon ko de sakte hain?

Ek saal se bade bachon ko de sakte hain. Ek saal se chhote bachon ko shehad bilkul na dein.

Mazeed parhein: Asli Shehad Ki Pehchan: Kya Sach, Kya Ghalat

Aur Sogaat